BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Wednesday, November 21, 2012

Tum bhi naraz, hum bhi naraz, kab tak!


Ye faaslo'n ke din, Ye dooriyo'n ki raat,,
Tum bhi naraz, hum bhi naraz, kab tak...

Ye ankahi chahatei'n, sookhe hue labo'n ki baat,,
Tum bhi naraz, hum bhi naraz, kab tak...

Lagta tha yun, ki ye sath kabhi na tootega,,
Khushiyo'n ka daaman, ab kabhi na chhootega,,
Rahenge sath sada hum tum dono,,
Na koi manayega, na roothega...

Nazar lagi na jane kis ki, kaisi wo ik ghadi thi,,
Juda hue the hum tum, aankho'n mei chhupi kahi'n ik nami thi,,
Baatei'n, waade, muskurahat,, Yaadein, aahat, kashmakash hi banke reh gayi'n,,
Wo aakhri raat, aakhri baat, ghana saaya hi banke reh gayi...

Hue the alfaaz khatm, koi khamoshi thi duur talak,,
Tum bhi naraz, hum bhi naraz, kab tak...

Suno ab laut aao tum, ke ye dil bohot akela hai,,
Tum bhi naraz, hum bhi naraz, kab tak... kab tak...