BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Friday, October 21, 2011

Chanda ke ishare par...





Shaam ki tanhai main,
Dukh ki ranaai main,,

Chanda ke ishare par,
Nehar k kinare par,,

Ek shakhs tha udaas baitha,
Apna sb kuch tha ganwa baitha..

Gum tha kahin maazi main,
Kuch dhoond raha tha maazi main,,

Kuch shikasta haal yadeinn mili'n,
Kuch ghum main doobi shaamein mili'n..

Ek chehra ubhra shanasayi,
Wohi to tha harjaai,,

Jis k naam zindgi thi,
Jis k naam bandgi thi...

Jo bahaar ki manind tha,
Jo mehtab ki manind tha,,

Jis k liye jeena tha,,
Jis k liye marna tha,,

Siyah zulfon ki chhaon mei,
Narm-o-mulaayam baaho'n mei,,

Jo lamha beeta tha,,
Usi k sang wo jeeta tha..

Ghamo'n k is daldal mei,
Insaano'n k is jungle mei,,

Tanha wo uss ko chhod gaya,
Naata har wo tod gaya...

Wo betha raha tanhai mei,
Dukh ki ranaai mei...

Chanda k ishare par,
Nehar k kinaray per ..!!

No comments:

Post a Comment