BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Wednesday, November 2, 2011

Suno Tum Laut Aao Na...




Suno Tum Laut Aao Na....
Suno Tum Laut Aao Na....

Zara Jo Dur Jaate Ho,
Tab Ehsaas Hota Hai,
Ke Baaqi Kuch Nahi Rehta,
Mere Jeewan Ke Aangan Mei,
Meri Khushiyon Ke Daaman Mei,
Tere Bin Kuch Nahi Rehta...

Udaasi Chhai Rehti Hai,
Sapne Adhure Se Lagte Hain,
Din Sadiyon Se Lagte Hain...

In Aankhon Ki Jalti Lau,
Maddham Padne Lagti Hai,
Ummeedein Marne Lagti Hain...

Tere Haathon Se Mere Haath,
Achanak Chhoot Jaate Hain,
Mere Armaan Rote Hain,
Tujhe Awaaz Dete Hain,
Tujhe Wapas Bulaate Hain...

Suno Tum Laut Aao Na...
Suno Tum Laut Aao Na...

Ke Suraj Dhal Gaya Hai,
Haseen Ye Shaam Utri Hai,
Woh Dekho Chand Nikla Hai,
Sitarey Jagmagaye Hain...

Humari Muntazir Aankhein,
Duaein Maangti Aakhein,
Tumhe Hi Sochti Aankhein,
Tumhe Hi Dhoondti Aankhein,
Tumhe Wapas Bulati Hain...

Suno Tum Laut Aao Na…
Suno Tum Laut Aao Na…

Ye Dil Jab Bhi Dhadakta Hai,
Tumhara Naam Leta Hai,
Ye Aansoo Jab Bhi Behte Hain,
Tumhare Dukh Mei Behte Hain...

Ke Baarish Jab Bhi Hoti Hai,
Tumhe Hi Yaad Karte Hain,
Khushi Koi Jo Aaye Bhi,
Tumhare Bin Adhuri Hai...

Suno Tum Laut Aao Na...
Suno Tum Laut Aao Na...

Hamare Dil Ki Khwahish Hai,
Suno Tum Laut Aao Na...
Jahan Tum Ho Wo Duniya Kab Tumhari Hai...
Suno Tum Laut Aao Na…

Kabhi Barish Main Aao Na,
Koi Jhooti Si Tasalli Do,
Koi Wada Nibhao Na…

Suno Maazi Ki Baaton Ko,
Kisi Din Bhool Jao Na,
Mita Do Ranjishen Dil Ki,
Kisi Din Laut Aao Na…

Suno Tum Laut Aao Na…
Suno Tum Laut Aao Na…

Mita Do Faasle Saare,
Ke Ab Qurbat Ka Mausam Hai,
Mujhe Baanho Main Bhar Lo Tum,
Gale Apne Lagao Na…

Bohot Din Se Nahi Dekhi,
Tere Ghar Ki Wo Deewarein,
Bohot Din Se Udaasi Hai,
Kabhi Dar Pe Bulao Na…

Suno Tum Laut Aao Na...
Suno Tum Laut Aao Na...

No comments:

Post a Comment