BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Wednesday, September 21, 2011

Is Mohabbat Ki Dawa De Mujhko




Gungunatay hue aanchal ki hawa de mujh ko,
Ungliyaan phair ke baalon mein sula de mujh ko...

Jis tarhan faltu guldaan padey rehtey hain,
Apne ghar ke kisi koney se laga de mujh ko...

Yaad kar ke mujhe takleef hee hoti hogi,
Ek qissa hoon purana sa bhula de mujh Ko...

Yahi auqaat hai meri teri zindgi mein ke main,
Koi kamzor sa lamha hoon, bhula de mujh ko...

Doobtay doobtay awaaz teri sun jaoon,
Akhiri baar tu saahil se sada de mujh ko...

Main tere hijr mein chup chaap na mar jaoon kahin,
Main hoon saktey main kabhi aa ke rula de Mujh ko...

Dekh main hogaya badnaam kitabon ki tarhan,
Meri ta'sheer na kar ab tu jala de mujh ko...

Roothna tera meri jaan liye jata hai,
Aise naraaz na ho hans ke dikha de mujh ko...

Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujh se,
Us ki galiyoon mein padi khaak bana de mujh ko...

Log kehtay hain ke yeh ishq nigal jata hai,
Main bhi is ishq mein aaya hoon, dua de mujh ko...

Suna hai badi tadap hoti hai is chahat mei,
Mai beemar hoon 
tere ishq ka, dawa de mujhko...

2 comments:

  1. mjhe bhi btana ye dwa kha milti hai :P

    ReplyDelete
  2. pehle doctor to miley.. wahi batayega dawa kahan milti hai :P

    ReplyDelete