BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Saturday, September 10, 2011

Wafa ki Tamanna...




Tujhko paane ki har ghadi tamanna ki thi maine...
Ek tu hi to tha jisko chahne ki tamanna ki thi maine...

Har ghadi tujhko hi basaya hai saanso me apni...
Tere sang har saans chale, tamanna ki thi maine...

Aaj tu nahi, tera saaya bhi nahi...
Tere saaye mei kat jaye zindgi, tamanna ki thi maine...

Tujhe tohfe mei diya tha dil apna...
Jaan bhi dene ki tamanna ki thi maine...

Tune tod diya is dil ko, or leli ye jaan bhi humse...
Ye zindgi tere pehlu mei kat jae, tamanna ki thi maine...

Tujhe to maana tha wafa ki moorat, ki bewafai tune...
Zyada nahi bas wafa ke badle wafa ki tamanna ki thi maine...

No comments:

Post a Comment