BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Thursday, October 20, 2011

Dekhein aazma kar...





Yahan khamosh nazron ka nazara kaun banta hai..
Bohot gehre samundar ka kinara kaun banta hai...


Chalo hum dekhte hain ab khud ko barbad kar ke bhi..

Humari barbadiyon mei bhi humara kaun banta hai...

Bina phal ke darakhton ko yahan par kaata jata hai..
Kisi bhi be-sahara ka sahara kaun banta hai...

Koi shisha agar toote to wapas jud nahi sakta..
Mohabbat main fanaah ho kar dobara kaun banta hai...

Chalo phir aazma lein hum apnay pyaron ko..
Humare dard mei dekhein humara kaun banta hai...

1 comment: